AL-Quran

AL-Quran
Aur Hum Ne Aap Ko Tamam Jahanon K Liye RAHMAT Bana Kar Bheja - AL-Quran

Aaqa Aaqa Bol Banday Naat Lyrics

A beautiful naat Aaqa Aaqa Bol Banday Naat Lyrics and Video. Farhan Ali Qadri has a great voice and style, His most popular Naat Aaqa Aaqa Bol Banday Aaqa Aaqa Bol and now you can watch and download Aaqa Aaqa Bol Banday Naat Lyrics.

VIDEO: - Aaqa Aaqa Bol Banday Aaqa Aaqa Bol By Farhan Ali Qadri

Aaqa Aaqa Bol Banday Naat Lyrics

Aqa aqa bol banday aqa aqa bol
Zikr nabi tu karta ja yay zikr barra anmol

Aisa din bhi aaja-ay sarkar kay dar pay betthay ho
Lab khamosh zubaan ban ja-ay aansu arza kartay ho
Un kay dar pay ronay waalay, dil say kucch to bolol

Sarkar e do aalam pyaray aqa jidhar say guzra kartay thay
Shajr gawaahi dayta tha or pathar kalima partay thay
Noor e khuda kay munkir ab to, apni aankhayn khol

Aow chalo deewano saaray shehr e madinah chaltay heyn
Mayri kya oqaat he sab hii un kay dar say paltay heyn
Ghairon ko bhi daytay heyn, bin maangay bin mol

Jab say hosh sambaala he meyn unki naatayn parta huun
Gustaahi na ho ja-ay meyn sambal sambal kay chalta huun
Maan ki dua-on ka sadqa, aisa mila maahol

Rashid naatayn likhna parna yay he barra ihsan
Un kay karm kay sadqay hii se unchi he parwan
Naat e nabi tu suna-ay ja, kaano mayn rasghol