Bulalo Phir Mujhay Ae Shah e Behrobar - Naat Lyrics
Bulalo Phir Mujhay Ae Shah e Behrobar - Naat Lyrics
Meray ansoo bohat kimati hain,
Insay wabasta hai, unki yaadein,
Inki manzil hai khak e Madina,
Yeh gohar yoonhi kaisay luta doon.
Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main
Main phir rota huwa aaoon, teray dar par Madinay mein.
Mein pohunchoon koey jana mein, ghareeban chak seena chak
Gira day kash mujhko showk tarpa kar Madinay mein.
Mein unka deewana, Madinay mein bari shaan gaya
Chak dil, chak jigar, Chak ghareeban gaya.
Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman’illah
Kabi toh apna bhi lag jaey ga bistar Madinay main.
Salaam-e-showq kehna haajio meraa bhi ro ro kar
Tumhe aae nazar jab roza e anwar Madinay mein.
Zahe muqaddar huzur-e-haq say salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya.
Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya.
Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein
Bulawe ke muntazir hain lekin na subah aaya na sham aaya.
Payame showk letay jao mera kafilay walo
Sunaana dastaney gham meri ro kar Madinay main.
Paye tableegay sunnat Tu jahan rakay maghar aae kash
Main khawaboon mein puhanchta hee rahoon aqsar Madinay mein.
Madina is liye Attar jaan-o-dil say hai pyara
Key rehtay hain meray Aaqa, meray dil bar Madinay main.
Na dowlat dey nah showhrat dey, mujhay bas yeh sahaadat dey
Teray kadmo main marjaoon, main ro ro kar Madinay main.
Meraa gham bhi toh dekho, main paraa hoo duur Tayba sey
Sukoon aey’ga bas meraa dil-e-muztar Madinay main.
Wahan ik saas miljaye yehi hai zeest ka haasil
Vo kismet ka dhani hao jo gaya dam bhar Madiney mein.
Chalo chaukat pe unki rak ke sar qurbaan ho jaye
Hayat e jaan vidaani paayengey mar kar Madiney mein.
Madina is liye Attar jaan-o-diil sey hai pyaara
Key rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main.
Naat/Dua Information:
Recited By: Alhaaj Muhammad Owais Raza Qadri
Written By: Ameer Ahle Sunnat Moulana Ilyas Attar Qadri